Monday, 23 November 2015

Soch !!

Hamari soch ke pehlu ko woh uljhaye jata hai..
hum usko jitna bhulte hain utna yaad aata hai..

hain lab khamosh lekin dil me itna shor kya kahiye..
zamana laakh chikhe humko bas apna sunata hai..

nazar aate hain dduniya me youn to kayii haseen chehre
magar bas wo nahin dikhta jo is dil ko lubhata hai..

kalam meri nazam meri bharam mera yeh gum mera..
hai kisne haq diya tujhko ke tu inme samata hai..

Hai itna shauk jo Daanish' ki ghazal me utarne ka..
To aa phir zindagi me khul ke kyou itna sharmata hai..!!!

0 comments:

Post a Comment